Youngistan ki kahaani lyrics | Rhyme Ryderz

Views

Title: Youngistan ki kahaani 
Artist: Rhyme Ryderz
Vocals: Anita Rai
Lyrics By: B.rave – K.B
Video: Maninder Singh
Camera: Navjot Singh

Song Lyrics
B.rave; Chalo leke chaloon tumhe, main peeche kuch saal kitna hai paisa mujhpe yeh nahi tha sawaal!
you know what time it is!! Its Rhyme Time!!

Din 15 august San 1947, tha woh bada din jab milli humain azadi
jane kitno ne di thi apni jaan ki kurbani, 
bahaya tha khoon bahe jaise dariyah main pani.
beet jayega din, niklegi sari raat jo lene shuru karoonga shaheedon k main naam
hum the gulaam
rehte the sab milke hindu sikh musalman.

saath ladke humne tha apna desh jeeta. kurbaniyon ka dekho hai kya nikla natija,
kya mila hai unko deke apni jaan ki kurbani?
batata hoon tumnhe main youngistan ki kahani!!

K.B; Kiven bhuliye oh har ik beeti kahani nu
is desh layi haske jo chum rassa oh chadd gayi 3 roohani kyun?
kyun bhul gaye 23 march 1931?
Shaheed Bhagat Singh, Shaheed Sukhdev, Shaheed Rajguru di kurbani nu!
Kai saal ho gaye sanu hun vekhde eh bayimana di bayimani nu!!

Chorus( Anita Rai);
Ae mere watan ke netaon aise na karon manmani,
jo sheed huye hain unki zara yaad karo kurbani.

Ae mere watan ke netaon aise na karon manmani,
jo sheed huye hain unki zara yaad karo kurbani.


K.B; Gore desh chadd phajj gaye,
apne he badal pesh gadiyaan te saj gaye
sone di chiddi de paah hun, hon kodiyaan ch lag paye.
kisaana de kothe barishaan ch chon lag paye
gareebi di sankhya crorean ch wad gayi
naukri nu lab lab umar sari langh gayi
lokaan de supne nu sarkaar har 5salaan baad 
sooli te tangdi.
B.rave; 
BAS! Reh gayi hai jang paise aur rajneet ki 
hadd ho gayi hai youngistan main har chee ki!
Par deni padegi in politicians ki daat,
chori karke bhi hain haath inke saaf!
hai kaisa yeh insaaf?
pate bhare sabka, kyun bhookha hai kisaan?
kyun ghoos khori k ab bane hain hum gulaam?
kyun paise k peeche pagaal hua har insaan?
Kha kha k ghoos bane hain malo maal
nahi inko parwaah kya hai desh ka haal
bhrastachaar ka failaya sare desh pe jaal 
tabhi tang rahen mere,
YAAR PARIVAAR sare RISHTEYDAAR

CHORUS;(Anita Rai)
Ae mere watan ke netaon aise na karon manmani,
jo sheed huye hain unki zara yaad karo kurbani.
Ae mere watan ke netaon aise na karon manmani,
jo sheed huye hain unki zara yaad karo kurbani.

K.B; jis kesh katae desh layi,
us desh ne badle bhes kayi
san 1984 november 1,2,3 din san nesh jahe
na vekhi ohna age koi
30 salaan ch na hoya pesh koi
na sigi oh ladai,hindu ya sikh, na kissi race layi
politician di layi si oh agg,
bas ohi baithe sake rahe si!!!

B.rave;
Jab kabhi aye dil main mere khayaal
karoon khud se sawaal
kyun karoon main parwaah?
karoon nazar andaaz apne desh ka haal 
ho jaoon main bhi bhrasht, batoroon main bhi maal!
Par yaad ajaye mujhe woh har kurbani,
sunlo meri zubani YOUNGISTAN KI KAHANI!!!!!

HAAN
Yahi hai mere youngistan ki kahani, jahaan chalta hai paisa,
jahaan chalta hai paisa pehle kissi ki jaan se.(SAHI GAL HAI)
Admission se pehle ye mange deposit
deposit na ho! they dont even offer you a seat!(KUCH TAN SHARAM KARO)
Karein sab sale cheat
den sabko dhoka
desh ki pragati ko in ministron ne hai roka!(HUN TAN BAS KARO)
Haan mile jo mujhe mauka toh kholoon inki pol,
KYUNKI SAATH HAIN MERE JAISE 100CRORE.

AB KARNA HAI KHATAM BHRASHTACHAAR KA ZULAM, 
BANAYA HATIYAAAR HUMNE KAGAZ AUR KALAM.

AB KARNA HAI KHATAM BHRASHTACHAAR KA ZULAM, 
BANAYA HATIYAAAR HUMNE KAGAZ AUR KALAM………………..

Visited 1 times, 1 visit(s) today

Youngistan ki kahaani lyrics | Rhyme Ryderz

| Lyrics |
About The Author
-